Pakistani singer ‘Sarmad Qadeer’ honours ‘Amjad Fareed Sabri’ by singing Bhar do jholi meri song to give A Tribute To Amjad Fareed Sabri (Late) Lyrics.
Song Title: Bhar Do Jholi Meri
Singer: Sarmad Qadeer
Label: Moviebox
Shah-e madhina suno,
Ilteza Khuda ke liye,
Karam ho mujhpe,
Habeeb-e khuda,
khuda khuda ke liye.
Huzoor guncha-e,
Umeed ab to khil jaye,
Tumhare dar ka gadha hoon,
Toh bheekh mil jaye.
Bhar do jholi,
Bhardo jholi meri ya Muhammad,
Laut kar main na jaunga khali [x3].
Kuhh nawaso,
Kuch nawaso ka sadka ataa ho,
Banke aya hun dar pe savaali,
Bhar do jholi meri Tajedar-e madina,
Laut kar main na jaunga khali,
Tumhare aastane se,
Zamaana kya nahi paata [x2],
Koi bhi dar se khali,
Maangne wala nahi jaata.
Bhar do jholi,
Bhardo jholi meri ya Muhammad,
Laut kar main na jaunga khali,
Bhardo jholi meri sarkar-e madina,
Lot kar main na jaunga khali.
Hai mukhalif zamana kidhar jayein hum,
Halat-e be kasi kisko dikhlae hum,
Hum tumhare bhikhari hai ya mustafa [x2],
Kiske aage bhala hath phailaye hum,
Bhar do jholi,
#Bhar do jholi meri ya Muhammad,
Laut kar main na jaunga khaali,
Bhar do jholi meri sarkaar-e madina,
Lot kar main na jaunga khali.
Tum zamane ke mukhtaar ho ya nabi,
Be kason ke madadgaar ho ya nabi,
Sabki sunte ho, apne ho, ya gair ho [x2],
Tum garibonke gamkhar ho ya nabi,
Bhar do jholi,
Bhar do jholi meri ya Muhammad,
Laut kar main na jaaunga khali,
Bhar do jholi meri Tajedar-e madhina,
Laut kar main na jaunga khali.