IKKA – Shuruwat

IKKA Shuruwat song DJ HARPZSong: Shuruwat
Singer: Ikka
Music Director: Dj Harpz
Lyrics: Ikka
Project: Fab Entertainment
Video: Sandy Goswami
Music Label: T-series

Shuruwat Lyrics by Ikka Hindi rapper is an motivating song which artist shares his experiences from struggle to stardum. Dj Harpz produced music for this inspirational anthem while all the lyrics of “SHURUWAT – The beginning” are drafted from Ikka. Sandy Goswami is video director.

 

IKKA RAPPER’s NEW SHURUWAT SONG WITH LYRICS

Paisa Shohrat, Ye Dono Museebat
Ye Na Sab Ki Kismat
Ye Bus Uss Ki Kismat Jisne Ki Hai Zehmat
Uspe Rabb Ki Rehmat
Jisne Ki Hai Mehnat, Jisne Ki Hai Mehnat -x2.

Kahan Say Karrun Shuruwat,

Un Bheed Say Bharri Tang Galiyon Se
Jahan Per Palla Bada Ghumma Unn Galliyon Se
Ya Rishtedaron Ki Gaaliyon Se,

Ya Kaam Se Milli Mujhe Talliyon Se
Ya Kabhi Toot K Rone Waali Ankho Se
Ya Duniya Jeet Lene Waali Baaton Se
Ya Unn Raaton Se, Jin Raat Soyeya Nahi
Aur Likh Dala Ithihas In Hathon Se.

Main Shuru Se Shuruwat Karta Hu
Ik Aam Ghar Ka Mein Ladka Hu
Kar Din Dungne Raat Chogni
Pariwar Ko Khush Mein Rakhta Hu.

Apne Dum Pe Bana Apne Dum Pe Kara
Jo Bhi Kiya Maine Liya Kisi Ka Sahara Nahi,

Milta Hai Mokaa Ek Baar
Mera Mokaa Khone Ka Iraada Nahi.

Mein Is Se Kum Us Se Zayada Nahi
Mein Hu Pura Khel Main Khel Ka Peyada Nahi,

Hona Greeb Paida Kismat,
Maroon Bhi Greeb Toh
Mili Zindgi Ka Fayeda Nahi
Jo Bhi Karun Main
Karun Main Seena Thok Ke,
Kisi Se Main Darun Kiya Aisa Koi Kaam Nahi,

Jo Bhi Milli Safalta
Us Safalta Ke Peeche Mere Pitaji Ka Naam Nahi
Log Milte Hai Papa Se
Kehte Hai Ladke Ne Kaam Se Patyal Ji Naam Hai Kiya,
Sach Bolun Toh Is Say Badh Kar
Ikka K Liye Koi Inaam Nahi.

Paisa Shohrat, Ye Dono Musibat
Yeh Na Sab Ki Kismat,
Yeh Bas Uss Ki Kismat Jisne Ki Hai Zehmat
Usspe Rabb Ki Rehmat
Jisne Ki Hai Mehnat, Jisne Ki Hai Mehnat -x2.

Mushkil Se Mushkil Ko Hal Kiya
Kiya Aaj Maine Na Kal Kiya
Ki Hai Maine Jee Tod Mehnat
Na Aaram Ek Pal Kiya.

Huyi Mujh Se Bhi Kaafi Dekho Galtiyan
Galtiyon Say Apni Seekh Li
Jo Banaya Maine Khud Hai Banaya
Na Phailaake Hath Maine Bheekh Li,

Meri Gareebi Thi Mera Motivation
Kharaab Thi Situation
Maine Halaat Ko Maat Di,
Apni Banayi Kuch Reputation.

Maine Khud Pe Yakeen Kiya
Kiya Yakeen Apni Udaan Pe
Himmat Se Kaam Liya Chodi Na Umeed
Nahi Toh Betha Hota Baap Ki Dukaan Pe.

Paisa Shohrat, Ye Dono Musibat
Ye Na Sab Ki Kismat,
Ye Buss Us Ki Kismat Jisne Ki Hai Zehmat,
Usspe Rab Ki Rehmat
Jisne Ki Hai Mehnat, Jisne Ki Hai Mehnat -x2.