Shikwa & Jawab-e-Shikwa Lyrics – Coke Studio S11

Shikwa Jawab-e-Shikwa song coke studio (1)Shikwa & Jawab-e-Shikwa Lyrics from Episode 1 of Coke Studio Season 11 is a remarkable song performed by Fareed Ayaz, Abu Muhammad & Brothers with Natasha Baig. The evergreen lyrics to song “JAWAB E SHIKWA” have been written down by Allama Iqbal (Kyon ziaan kaar banun), Amjad Hyderabadi (Kis say mukhatib hai), Omar Khayyam (Baaz Aa, Baaz Aa).

SHIKWA/JAWAB-E-SHIKWA LYRICS – COKE STUDIO SEASON 11

Kyon Ziaan kaar banun, sood framosh rahoon? -x2,

Fikr-e-farda na karun, mahw-e-ghum-e-dosh rahoon -x2,

Kyon (mein) ziaan kaar banun, sood framosh rahoon?
Fikr-e-farda na karun, mahw-e-ghum-e-dosh rahoon,

Naale bulbul ke sunoon
haye, Naale bulbul ke sunoon, aur hama tan gosh rahoon
Hamnawa, main bhi koi gul hoon ke khamosh rahoon,

Jurrat aamoz,

Jurrat aamoz meri taab-e-sukhan hai mujhko -x3,

Shikwa Allah se khakam badahan hai mujhko -x4.

Hai baja, Hai baja, Hai baja, Hai baja,

Hai baja, shewa-e-tasleem mein mashhoor hain hum -x2,

Qissa-e-dard sunaate hain ke majboor hain hum -x2,

Saaz-e-Khamoosh hain, faryaad se Ma’moor hain hum -x2,

Naala aata hai agar lab pe to Ma’zuur hain hum
Ai Khuda shikwa-e,

Ai Khuda shikwa-e-arbab-e-wafa bhi sun le -x3,

Khugar-e-hamd se thora sa gila bhi sun le -x4.

 

Hum se pahle tha ajab tere jahan ka manzar
Kahin masjood the patther, kahin ma’bood shajar
Khugar-e-paikar mahsoos thi insaan ki nazar
Maanta phir koi un-dekhe Khuda ko kyonkar?
Kyonkar? Kyonkar? Kyonkar? Kyonkar?
Khuda! Khuda!

Tujhko maalum hai leta tha koi naam tera -x3,

Quwwat-e-baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera! -x4,

Quwwat-e-Baazo-e
Quwwat-e-baazoo-e-muslim ne kiya kaam tera!

Tau aee awaz,
Kis say mukatib hai kya keh raha hai? -x2,

Kya teri khuwaish hai kya muda’a hai?
(Bol) Kya teri khuwaish hai kya muda’a hai?

Sar ko patakh kar kyun rou raha hai? -x2,

Hum nay toh denay ka wada kia hai -x3,
Aa aa idher aa
Tu pher maang pher maang
Aa aa idher aa
Tu pher maang pher maang
Tau aee awaz
Sunn! Safa-e-dehr se batil ko mitaya kisne? (Kya baat hai!)
Safa-e-dehr se batil ko mitaya kisne?
Aur, nou-e-insaan ko ghulami se churaya kisne?
Meray Ka’abay ko
Aur mere Ka’abay ko jabeenon se basaya kisne?
Mere Quran ko seenon se lagaya kisne (tum ne)
Haan Haan,

Thay toh aaba woh tumhare hi magar tum kya ho? -x2,

Thay?  Thay!
Thay toh aaba woh tumhare hi magar tum kya ho?
Hath par hath dhare muntazir-e-farda ho
Kis say mukhatib hai kya keh raha hai?
Kis say mukhatib hai (aray) kya keh raha hai?
Kya teri khuwaish hai kya muda’a hai? -x2,

Aur Sunn!
Paida, Paida sikandar ko kisne kia tha
Paida sikandar ko kisne kia tha
Paida sikandar ko kisne kia tha
Dekh! Haatim ke hathon se kisne dia tha
Haatim ke hathon se kisne dia tha
(Arey) Tu kya samjh kar wapis chala tha
Tu kya samjh kar wapis chala tha
(Aur) Hum nay toh denay ka wada kia tha
Hum nay toh denay ka wada kia tha
(Aur) mayoos janay ko kisne kaha tha,

Mayoos janay ko kisne kaha tha -x3,

Baaz Aa, Baaz Aa
Har Unch e Hasti Baaz Aa
Gar Kaafir o Kabr o But Parasti Baaz Aa
Een Dargah e Maa, Dargah e Na Umeedeeni
Sadd Baar Agar Tauba Shikasti Baaz Aa

mayoos janay ko kisne kaha tha -x3,

Aa aa (Aaa, aaa, Aaa) idher aa tu pher mang pher mang
Aa aa idher aa, Aaa
(Aray) mayoois janay ko kisne kaha tha
Le Sunn! Aqal hai teri sipar
Aqal hai teri sipar ishq ka shamshir teri
Aqal hai teri sipar aur ishq ka shamshir teri
Mere durwaish (Kya Baat Hai!)
Mere durwaish khilafat hai jahangir teri
Ma siwa Allah ke liye
Ma siwa Allah ke liye Aag hai takbir teri
Tu musalman ho toh
Tu musalman ho toh taqdir hai tadbir teri
Ma siwa Allah
Ma siwa Allah ke liye Aag hai takbir teri
Allah o Akbar!
Ma siwa Allah ke liye Aag hai takbir teri
Tu musalman ho toh taqdir hai tadbir teri
Aur Sunn!
Ki Muhammad se wafa
Sal Allah o Alaih e Wasallam
Ki Muhammad se wafa Tu ne, toh hum tere hain -x3,

Yeh jahan cheez hai kya louh-o-qalum tere hain -x2,

Ki Muhammad se wafa Tu ne, toh hum tere hain -x3,

Yeh jahan cheez hai kya louh-o-qalum tere hain -x3,

Louh-o-qalum tere hain -x6.

 

Song Credits / information:
Song Title:

Shikwa -Jawab-e-Shikwa

Artist(s): Fareed Ayaz, Abu Muhammad Qawwal, Brothers, Natasha Baig
Lyrics Writer(s): Allama Iqbal, Amjad Hyderabadi, Omar Khayyam
Album: Coke Studio Season 11 (Episode 1)
Music Composer:  Munshi Razi Uddin
The lyrics of this song are now available in multiple Indian languages, including Hindi, Punjabi, Tamil, Telugu, and more. To choose your preferred language, click on the translation (beta) button located at the bottom right corner.